aankhon ko chamak chehre ko ek aab to dije jhuta hi sahi aap koi khwab to dije hum sang-e-giran hain khas-o-khashak hain kya hain malum ho pahle koi sailab to dije hum jam-ba-kaf baithe rahen aur kahan tak taqdir mein amrit nahin zahrab to dije hum ko bhi hai ye shauq ki duben kabhi ubhren ho gardish-e-ayyam ka girdab to dije madhosh na kar den jo zamane ko to kahna hathon mein hamare koi mizrab to dije marne ki hawas hai hamein diwane hue hain jine ke agar pas hon aadab to dije viranon ko gulshan hi banaenge 'matin' hum khilne zara ek ghuncha-e-shadab to dije