dard-e-dil ki dawa kare koi mere haq mein dua kare koi surakh-ru is tarah bhi hote hain khun-e-dil ko hina kare koi sabr ye hai ki uf na ho lab par lakh jaur-o-jafa kare koi majma-e-am mein akela hun dard mera suna kare koi roz-e-raushan bane shab-e-hijran chaak band-e-qaba kare koi jo hai shaitan rahega shaitan hi qudsiyon mein raha kare koi azmaton ka 'falak muqaddar ho sidq-e-dil se jhuka kare koi