aankhon ko khwab-nak banana pada mujhe sau ratjagon se rabt badhana pada mujhe shayad hawa thi ek bahane ki muntazir kuchh is liye bhi dip jalana pada mujhe us ki lagai aag ne shahron ko aa liya mulla ko ja ke din sikhana pada mujhe dil shokhiyon se baz na aata tha is liye us ko dayar-e-ishq mein lana pada mujhe sunti nahin thi khalq-e-khuda chikh chikh kar ab aasman sar pe uthana pada mujhe ek tabnak ishq ke is ikhtitam par kuchh dil ka hausla bhi badhana pada mujhe daryaft ek shakhs ko karna tha dosto sau aaine ke samne jaana pada mujhe