apne anjam se be-khabar zindagi raat din kar rahi hai safar zindagi in dahakti chitaon ki aaghosh mein kis tarah ho sakegi basar zindagi aa ke jate hue manzaron ki tarah ghatti jati hai sham-o-sahar zindagi maut tera bahut hum pe ehsan hai tujh se pahli na thi mo'atabar zindagi bughz-o-nafrat ki badhti hui aag mein jal rahe hain umidon ke ghar zindagi chhod kar is qafas ko kidhar jaenge ho gai ab to be-baal-o-par zindagi hum bhi 'sailani' bhatka kiye umr bhar le gai jab idhar se udhar zindagi