aankhon ko kisi haal mein giryan na karenge hum ishq ki tauhin ka saman na karenge jo apna samajh kar hamein bakhsha hai kisi ne us dard ka bhule se bhi darman na karenge hans hans ke sahe jaenge har jaur-e-mohabbat shikwon se magar tum ko pasheman na karenge ruswai-e-wahshat hamein manzur nahin hai phulon ki tarah chaak gireban na karenge maujon se zara khelna aa jaane do hum ko phir hum kabhi andesha-e-tufan na karenge ab ho gaya ehsas hamein azmat-e-gham ka ab aarzu-e-aish-e-farawan na karenge gul aur hi kuchh fasl-e-bahaaran ne khilae ab phir se tamanna-e-bahaaran na karenge rakkhenge yunhi dil ko tapan ishq mein 'mansha' jab tak use tanwir-badaman na karenge