dil ki shoala-zai ke aankhon ki tughyani ke din hain jawani ke hi din dar-asl jaulani ke din in mein to danaiyan khul kar dikhati hain kamal kaun kahta hai ki ye hote hain nadani ke din tha lahu mein tar-ba-tar daman hamara jin dinon hum na bhulenge kabhi wo khun-afshani ke din taza taza aaya tha jab karwan-e-fasl-e-gul yaad hain ab tak hamein wo khana-virani ke din kaise logon ko bataen mushkilon par mushkilen kitni paida karte hain ye khwab-samani ke din hote hote jaan ko ho jata hai hasil qarar jate jate jate hain 'mansha' pareshani ke din