aankhon ko phod dalun ya dil ko tod dalun ya ishq ki pakad kar gardan marod dalun yak-qatra khun baghal mein hai dil meri so us ko palkon se teri khatir kyun-kar nichod dalun wo aahu-e-ramida mil jae tira-shab gar kutta banun shikari us ko bhanbhod dalun khayyat ne qaza ke jama siya jo mera aaya na ji mein itna kya is mein jod dalun wo sang-dil hua hai ek sang-dil pe aashiq aata hai ji mein sar ko pathron se phod dalun baitha hun khali aakhir ai aansuo karun kya do chaar gokharo hi lao na mod dalun taqsir 'mushafi' ki howe muaf sahib farmao to tumhaare la us ko god dalun