ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail thahra lam ka khub alif madd-e-muqabil thahra dida-e-tar se jo daman mein gira dil thahra bahte bahte ye safina lab-e-sahil thahra ki nazar ru-e-kitabi pe to kuchh dil thahra maktab-e-shauq bhi quran ki manzil thahra nighat-e-gul se pareshan hua us ka dimagh khanda-e-gul na hua shor-e-anadil thahra najd se qais jo aaya mare zindan ki taraf der tak gosh-bar-awaz-e-salasil thahra husn jis tifl ka chamka wo hua bais-e-qatl jis ne talwar sambhaali mera qatil thahra khat jo nikla rukh-e-jaanan pe mila bosa-e-khal yahi dana faqat is kisht ka hasil thahra alam ek nuqta jo mashhur tha ai josh-e-junun ghaur se ki jo nazar nuqta-e-baatil thahra dur jab tak the tadapta tha mein kaisa kaisa pas aa kar wo jo thahre to mera dil thahra kasrat-e-dagh se gul-dasta bana dil to kya zinat-e-bagh na aaraish-e-mahfil thahra daudta qais bhi aata hai nihayat hi qarib ek zara naqe ko ai sahib-e-mahmil thahra dam jo betab tha muddat se mere sine mein tegh-e-qatil ke tale kuchh dam-e-bismil thahra hum badi dur se aae hain tumhaara hai ye haal ghar se darwaze tak aana kai manzil thahra ab tak aati hai sada turbat-e-laila se 'amir' sarban ab to khuda ke liye mahmil thahra