diwar ki surat tha kabhi dar ki tarah tha wo dhund mein lipte hue manzar ki tarah tha dekha to shagufta sa laga phul ki surat utra to meri ruh mein khanjar ki tarah tha main aaj tahi-dast hun ek khas sabab se warna main zamane mein sikandar ki tarah tha kuchh waqt ne tartib bigadi mere ghar ki kuchh ghar bhi mera mere muqaddar ki tarah tha wo jagte lamhon mein bhi patthar ki tarah thi main nind ke aalam mein bhi aazar ki tarah tha