zindagi dhup mein basar ki hai baat lambi thi mukhtasar ki hai aa hi jaega apne matlab pe baat pahle idhar udhar ki hai sanp dekhe hain aastinon mein kaisi manzil ye aaj sar ki hai ranj ko mujh pe jo tasarruf hai aisa lagta hai baat ghar ki hai darmiyan koi rasta hi nahin baat ek dusre ke sar ki hai ek taswir ki tarah chup tha aur baat kis qadar ki hai zindagi ab bhi hai 'saba' dilkash jo kami hai teri nazar ki hai