aankhon mein bas raha hai ada ke baghair bhi dil us ko sun raha hai sada ke baghair bhi khilte hain chand phul bayaban mein be-sabab girte hain kuchh darakht hawa ke baghair bhi main hun wo shah-bakht ki darbar-e-husn mein chalta hai apna kaam wafa ke baghair bhi munsif ko sab khabar hai magar bolta nahin mujh par hua jo zulm saza ke baghair bhi bandon ne jab se kaam sambhaala hai dahr ka nazil hai roz qahr khuda ke baghair bhi urdu ghazal ke dam se wo tahzib bach gai mitne ka jis ke gul tha fana ke baghair bhi