aankhon se tapke os to jaan mein nami rahe mahke umid dard ki kheti hari rahe ye kya ki aaj wasl to kal sadma-e-firaq tab hai maza ki bazm-e-nigaran jami rahe kab puchhta hai koi lagawat se dil ka haal yaron ka hai mizaj ki kuchh dil-lagi rahe aafat ke pahad ka din-raat samna kis ki panah mange kahan aadmi rahe jis ne bhi jaana ishq ko tafrih khush raha sanjida ho ke hum to nihayat dukhi rahe ji chahta hai phir usi mah-wash se rabt ho khalwat-kade mein ruh ke phir chandni rahe dil kya bujha ki nur nahin chaar-su 'naim' jalta rahe dimagh to kuchh raushni rahe