aankhon mein hai par aankh ne dekha nahin abhi wo but jise ki main ne tarasha nahin abhi lafzon ke pattharon mein sanam be-shumar hain mere hi pas soch ka tesha nahin abhi sadiyon se naqsh hai jo tasawwur pe shahkar kaghaz pe us ka aks utara nahin abhi barson se mere sar pe hai tukda ek abr ka jal-bujh chuka hai jism wo barsa nahin abhi jine se bhar chuka hai dil-e-zar kya karun marne ki aarzu-o-tamanna nahin abhi manind-e-mulk-e-rome luti ghar ki saltanat yaron ye saneha mujhe bhula nahin abhi 'shahid' nigar khana-e-sad-rang hai jahan phir bhi wo naqsh aankh se utra nahin abhi