zindagi meri hui hai phir niDhaal

zindagi meri hui hai phir nidhaal
ye umid-e-be-sabaati ka kamal

jab chali ai zist mustaqbil ki baat
ban gaya hun aap khud apna sawal

sher kah kar pas rakh leta hun main
fan ki duniya mein na ho phir qil-o-qal

puchhna kya shahr-e-sang-o-khisht se
rang badla hai zamane ki misal

main ki har sher mein 'shahid' nahin
sirf pesh-e-lafz hai mera khayal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close