aankhon mein haya aa jati hai honton pe tabassum late hain wo mujh pe sitam jab karte hain taswir-e-karam ban jate hain ab aap inayat karne ki taklif hi kyun farmate hain din yun bhi guzarne hi thahre din yun bhi guzar hi jate hain allah re khas-o-khashak se ye hans hans ke chatanon ka kahna wo tufan ko kya samjhenge jo tufan mein bah jate hain ek samt musalsal ummiden ek samt musalsal mahrumi kab tak ye uthe bar-e-hasti shane hain ki tute jate hain ab aisi karam ki baaton se dabti hain kahin dil ki choten tum jitna mitate jate ho ye naqsh ubharte aate hain is daur-e-pareshani mein kabhi wo waqt bhi aata hai 'ali' kuchh dil bhi dhoke khata hai kuchh wo bhi karam farmate hain