chand diwaren kisi ko din kisi ko dar diye hum ne ek chhote se ghar ke kitne tukde kar diye be-adab nangi nigahon se bachane ke liye hum ne mani ko badan alfaz ko paikar diye kya haqiqat ki numaish meri khatir jurm thi tu ne jo aaina dekha us ke tukde kar diye ro rahe ho der se shishe ki kirchen dekh kar tum ne kyun ahl-e-junun ke hath mein patthar diye dopahar ke baad us ne phul jaise hath se sham tak lohe ki zanjiron ke tukde kar diye dil ki gahrai mein kya hai mujh se ai 'saulat' na puchh jitne dariya aankh se nikle samundar kar diye