aankhon mein mauj mauj koi sochne laga pani mein be-sabaat nagar dubne laga ek shakh-e-rang hat se mausam ke chhut gai khali badan ragon mein koi lotne laga hai apne darmiyan koi fasl-e-narawa dahliz pe khada mein kise sochne laga wo rauzan-e-khayal, sada, saegi saman phir harf zahr zahr zaban gholne laga main ek barg-e-khushk kabhi ka asir-e-gard phir kaun dal dal mujhe tankne laga main bolta raha to kisi ne nahin suna main chup hua to sara nagar gunjne laga