apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna tu kisi din apne na hone ka manzar dekhna ek adam-malum-muddat se main teri zad mein hun khud ko lamha bhar mera qaidi bana kar dekhna sham gahre paniyon mein dub kar ek bar phir shahr ke maujud manzar ko palat kar dekhna dekhna pichhle pahar khwabon ki ek andhi qatar aasman par tutte taron ka manzar dekhna mera apne aap se bahar bikhar jaana tamam aur khizan-dida parindon ka mera ghar dekhna rang apne aap hi ab sab ke sab zail hue hai abas diwar par ye naqsh-o-paikar dekhna main ki khud muztar fasil-e-jism ke is par hun kya bhanwar ka khauf ab kaisa samundar dekhna