ye sach hai wafa us ne wada kiya tamasha magar kuchh ziyaada kiya saliqe se rakkha har ek chiz ko yun kamre ko apne kushada kiya kade kos pag pag jhulasti zamin ye rasta bhi tai pa-piyaada kiya yun hi apne ghar se nikal aae hain safar aaj phir be-irada kiya har ek baat dil manta hai meri koi yar to sidha-sada kiya taraf-dar 'ghaalib' ke hum bhi rahe magar 'mir' se istifada kiya libas apna 'faruq' khush-rang tha magar dhup ne us ko sada kiya