aankhon mein mere gham ki taswir sanjo loge ye baat na sochi thi daman ko bhigo loge tum tark-e-talluq ko kyun chehre pe likh lae tum ne to kaha ye tha ye raaz na khologe jab mera pata tum se puchhenge gali wale kuchh kah to na paoge palkon ko bhigo loge sach-much ye batao tum kya mujh se bichhad kar bhi in hijr ki raaton mein aaram se so loge is bhid mein logon ki main ro bhi nahin sakta ek tum ho ki chupke se tanhai mein ro loge ye kaun hai jo 'ishrat' hai mere taaqub mein itni badi duniya mein kis kis ko tatologe