awwalin shart hai insan ka insan hona baad ki baat hai hindu ya musalman hona jo bhi aata hai wo kaliyon ko masal jata hai ek hasin khel hai gulshan ka nigahban hona ahl-e-danish ne kabhi khwab mein socha bhi na tha jurm ban jaega is daur mein insan hona adl hai maslahat-e-waqt ke panje se asir sakht mushkil hai yahan sahab-e-iman hona jashn-e-be-chaargi jis waqt manate hon awam na-munasib sa hai us waqt ghazal-khwan hona ban gaya jehl ke badhne ka sabab ai 'ishrat' yak-ba-yak ilm ki shama ka farozan hona