aankhon mein qaid hai teri taswir lakhnau tuti nahin hai qurb ki zanjir lakhnau kal raat main ne khwab mein dekha tha 'mir' ko hai yani mere khwab ki tabir lakhnau aankhen taras gain tere didar ke liye is bar ho gai mujhe takhir lakhnau dil mein aminabaad to lab par husain-abaad kis taur se karun teri tafsir lakhnau ilm-o-adab jawan hue teri god mein duniya mein aam hai teri tauqir lakhnau shair adib aur mufassir ki shakl mein phailai tu ne ilm ki tanwir lakhnau darkar hai haqir ko gahwara-e-adab manzil hai lakhnau meri taqdir lakhnau do nisbaten mili hain mujhe donon ba-sharaf buniyaad meri sirsi hai tamir lakhnau sina shigaf ho gaya jahl-o-juhul ka barsae tu ne ilm ke jab tir lakhnau ‘mehwar’ bana hua hai tu ahl-e-zaban ka ausaf kya karun tere tahrir lakhnau