baqi nahin jahan mein jaur-o-jafa ka zikr

baqi nahin jahan mein jaur-o-jafa ka zikr
lab par hai har bashar ke faqat karbala ka zikr

hathon mein mere dekh ke tir-o-kaman ko
tair tamam karne lage baddua ka zikr

meri hudud-e-fikr se bahar hain shaikh ji
hathon mein jam aur labon par khuda ka zikr

shahr-e-adab ke sare qalam-kar thak gae
kaamil na ho saka teri nazuk ada ka zikr

sab kuchh jahan mein chhod diya khak ho gae
ye mukhtasar hai aur sunaun ana ka zikr

muflis mere dayar ka ghairat se mar gaya
ek roz bhi kiya na kisi se ghiza ka zikr

be-pardagi pe hone lagi hai p h d
baqi nahin kitab-e-haya mein haya ka zikr

ahmaq bashar misal bhi kutte ki laega
hoga jahan-jahan bhi jahan mein wafa ka zikr

jitne charagh the sabhi dahshat se bujh gae
parwane kar rahe the paron ki hawa ka zikr

'mehwar' palat na jae meri kashti-e-hayat
ek arsa ho gaya hai kiye nakhuda ka zikr


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close