aankhon mein teri did ke manzar liye hue

aankhon mein teri did ke manzar liye hue
phirte hain sar pe boriya bistar liye hue

pahli nazar ne aap ki bismil kiya hamein
hum aaj tak wo chot hain dil par liye hue

kaise kahun kahan hai mohabbat kahan nahin
rag rag mein daudti phire nashtar liye hue

ai aarzu-e-dasht kahin to qayam kar
kyun phir rahi hai khwabon ka lashkar liye hue

kya jaane kab kisi se bichhadna pade yahan
hum ji rahe hain dil mein yahi dar liye hue

jin se sanbhal na pata hai chudi ka bojh tak
wo phir rahe hai shahar mein hunter liye hue

haalanki ibtida hai mere zauq-e-ishq ki
duniya khadi hai hath mein patthar liye hue

ek frame mein jade hue hain donon ek sath
main sar jhukae aur wo khanjar liye hue

ab dar-ba-dar yahan se wahan ghumte hain hum
palkon pe kitne dard ke manzar liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close