palkon pe yahi KHwab sajaya hai ki tum ho

palkon pe yahi khwab sajaya hai ki tum ho
ye samne mere koi tum sa hai ki tum ho

dastak si hui jab bhi to darwaze ko main ne
har bar yahi soch ke khola hai ki tum ho

raunaq mein achanak jo izafa sa hua hai
aangan mein mere chand ka haala hai ki tum ho

hai talkh haqiqat ki mujhe chhod gae ho
ehsas magar ab bhi ye hota hai ki tum ho

bedar the jab tak to mukhatib the tumhin se
jab aankh lagi khwab mein dekha hai ki tum ho

tum ruh mein utre ho pata ye nahin phir bhi
aamad ka har ek sher batata hai ki tum ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close