aankhon mein to aansu ko sukun tak nahin milta daman pe jab aata hai to hota hai rawan aur ai quwwat-e-parwaz zara aur sahaara sunte hain sitaron mein hain aabaad jahan aur gahra ho agar sajda to khinch aate hain jalwe peshani-e-alam pe ubharta hai nishan aur taqsim agar hota hai shoalon mein nasheman jalte hue tinkon se lipatta hai dhuan aur ho rang pe mahfil to badalti hain fazaen ai 'fazl' sanwar jata hai andaz-e-bayan aur