in aaankhon mein bin bole bhi madar-zad taqaza hai khwahish khwahish bikne wala malbusati kida hai us ke chaaron or phiren kya us ke andar utren kya apne hi andar utarne ka kya kuchh kam pachhtawa hai sannate ki diwaron se sar takra kar mar jao chikhon ka zalim darwaza qad se kafi uncha hai galiyon galiyon khak uda li har darwaza jhank aae tab ja kar ye khwabon jaisa dhundla-pan hath aaya hai kitne hi chahe jismon ki lashen manzar manzar hain lekin an-gin khushiyon ka bhi aaankhon hi se rishta hai