kuchh yahan be-talab nahin milta mujh ko wo kya ajab nahin milta kuchh chhalakta hai kuchh bikharta hai sab mile to bhi sab nahin milta haif ab ishq ki dukanon par nala-e-nim-shab nahin milta kab hui shahr-e-dil ki rakhwali ek ghar be-naqab nahin milta dil se khali hue hain jab se paon dhundne se bhi rab nahin milta qahr ye hai ki ab hasinon mein pahle jaisa ghazab nahin milta hum nahin mante koi hona jab tak us ka sabab nahin milta muddaton chumti hain bas aankhen ek dam lab se lab nahin milta us ko itna sanbhaal kar rakkha ki mujhe khud bhi ab nahin milta bahr-e-lazzat hai us ka gum karna dhundta hun wo jab nahin milta ab kahan paen naqa-o-laila badduon ka arab nahin milta ahd-o-ehsas ki fasil hai bich mir sahab ka dhab nahin malta