aankhon mein wo khwab nahin baste pahla sa wo haal nahin hota ab fasl-e-bahaar nahin aati aur ranj o malal nahin hota is aql ki mari nagri mein kabhi pani aag nahin banta yahan ishq bhi log nahin karte yahan koi kamal nahin hota hum aaj bahut hi pareshan hain is waqt ke pher se hairan hain hamein le ke chalo kisi aisi taraf jahan hijr o visal nahin hota jitni hai nadamat tum ko ab utne hi pashiman hum bhi hain tum us ka jawab hi kyun socho hum se jo sawal nahin hota wo basti bhi ek basti thi ye basti bhi ek basti hai wahan tut ke dil jud jate the yahan koi khayal nahin hota is shahr ki rit ko aam karen jhuk jhuk ke sabhi ko salam karen har kaam to hum kar lete hain yahi kaam 'hilal' nahin hota