wo ye kahte hain zamane ki tamanna main hun kya koi aur bhi aisa hai ki jaisa main hun apne bimar-e-mohabbat ka mudawa na hua aur phir is pe ye dawa ki masiha main hun aks se apne wo yun kahte hain aaine mein aap achchhe hain magar aap se achchha main hun kahte hain wasl mein sine se lipat kar mere sach kaho dil tumhein pyara hai ki pyara main hun wo satata hai alag charkh-e-sitam-gar alag saikdon dushman-e-jaan hain mere tanha main hun bakht bargashta wo naraaz zamana dushman koi mera hai na ai 'hijr' kisi ka main hun