aankhon ne kabhi meri ye manzar nahin dekha ghawwas ne aisa kabhi gauhar nahin dekha ho jatin sharaf-yab ye aawara hawaen galiyon se kabhi us ki guzar kar nahin dekha aarasta hai khud hi adaon se sitam-gar phir kya hai ajab us pe jo zewar nahin dekha tha najm-shanasi ka bada zoam jo khud par us jaisa falak par magar akhtar nahin dekha thi un ki sakhawat to samundar ki tarah se afsos ki mahrum ne langar nahin dekha likkha tha talabgar ne ek harf-e-muafi kya khub sitam dhaya jo padh kar nahin dekha yun qaid hue us ke ki 'zishan' na puchho pal bhar ke liye khud se nikal kar nahin dekha