apni danishwari se darta hun jahilon ko salam karta hun kaisa nadan hun zindagi mein bhi teri chahat mein roz marta hun is mein pasti bhi sath deti hai jab bulandi se main utarta hun jaane kis waqt maut aa jae bas yahi soch kar sanwarta hun mujh ko mahsus kar ki main tujh se khushbuon ki tarah guzarta hun aasman tak yahin se rasta hai dil ki gahrai mein utarta hun jab yaqin ho chuka ki hun 'jawed' apne hone se ab mukarta hun