aankhon se kisi khwab ka rishta hi nahin tha is aaine mein aks thaharta hi nahin tha kyon dekh raha tha use chup-chap zamana rukhsat jo hua sirf hamara hi nahin tha mehman banaya hi nahin dasht ne warna reton se judai ka irada hi nahin tha wo chhod gaya shahr to kyon dil mein chubhan hai us par to hamara koi dawa hi nahin tha mansub use karte ho kyon hum se rafiqo aisa to koi bich mein wada hi nahin tha ye soch ke is rah mein hum ho gae tanha is bhid mein apna koi chehra hi nahin tha hum shahr-e-sitamgar ko kahan chhod ke jate jab is ke alawa koi sahra hi nahin tha patthar na hua mom 'fahim' ab to ye mano khurshid-e-hunar mein koi shoala hi nahin tha