agar ho zarf se khali to kya rakkha hai dariya mein samundar ko bhi main ne dubte dekha hai qatra mein ujale dhundne wale ujale dhund lete hain andhera hai magar kuchh raushni ab bhi hai duniya mein jo hail raste mein hain wo parbat dub jaenge tere gham ke samundar mein mere aansu ke dariya mein hazaron phul mein hum bhi to hain ek phul hi lekin hamare baad ye khushbu na mil paegi duniya mein badan-sagar mein utren kashtiyan kya meri aankhon ki talatum aur badhta ja raha hai mauj-e-dariya mein sitare chand suraj kahkashan bhi khubsurat hain magar kuchh baat hai jaanam tere husn-e-sarapa mein 'fahim' un ko mera tarz-e-bayan achchha nahin lagta riwayat sans leti hai mere ashaar-e-taza mein