wahi ki jis mein ghurur-e-shahi milaya gaya mera khamir usi khak se uthaya gaya ab us pe chand sitare bhi rashk karte hain wo ek diya jo kabhi dasht mein bujhaya gaya ugegi fasl mazafat mein baghawat ki fasil-e-shahr se mujh ko agar giraya gaya magar main zat ke sahra mein mahw-e-raqs raha mujhe bhi koh-e-nida ki taraf bulaya gaya mere liye tere kheton mein bhuk ugti hai mere liye to ye gulshan nahin sajaya gaya