aarzu thi ki tera dahr bhi shohra howe teri nisbat se ghazal ham-sar-e-zohra howe kaun deta hai mujhe khwab ki mashal har aan aas ban kar na wahi qalb mein thahra howe ye na mehman-sara hai na hawas ka kucha dil mein wo shakhs base aa ke jo gahra howe mauja-e-waqt mein ru-posh hai wo mah-e-tamam chandni howe jahan yaad ka bajra howe dhund hi dhund nazar aaya jidhar bhi dekha meri duniya mere arman ka na chehra howe dil ke aangan mein koi aa ke na jae wapas is ilaqa mein agar ishq ka pahra howe us ki taswir mein yun rang-e-alamat rakhiyo wo kahin nur kahin phul ka gajra howe itni tasir to fariyaad ki qismat ho 'naim' hakim-e-waqt badal jae jo bahra howe