aankhon se us ki yaad ka haala nahin gaya kanta ye apne dil se nikala nahin gaya gham khae aansuon ko piya hont si liye koi bhi hukm aap ka tala nahin gaya har chiz kaenat ki raushan hui magar zehn-e-bashar se hirs ka jala nahin gaya diwan-gan-e-husn ki ek bhid thi wahan main us ki anjuman mein nirala nahin gaya wo ek bar aae the dahliz pe meri phir is ke ba'd ghar se ujala nahin gaya har shakhs ke labon pe hain us ki hikayaten zalim se apna husn sanbhaala nahin gaya aasaishon pe 'rahi' main kya tabsira karun is qaid mein abhi mujhe dala nahin gaya