dekh kar wo mujhe hairan bhi ho sakta hai ab ke is baat ka imkan bhi ho sakta hai apni man-mohni surat pe udasi na bikher is tarah koi pareshan bhi ho sakta hai nafraten badhti rahin gar isi raftar ke sath ye hasin shahr to viran bhi ho sakta hai ghar ki dahliz pe mashal liye maujud hun main aane wala koi anjaan bhi ho sakta hai jab wo munh pher ke jate hain to main sochta hun itna zalim koi insan bhi ho sakta hai apne aariz ki gulabi mere nazdik na la aise binai ka nuqsan bhi ho sakta hai chal paden rah-e-qanaat pe agar hum 'rahi' khatm ye hirs ka sartan bhi ho sakta hai