aansu hai qimti jo hamari palak mein hai wo baat phir kahan jo faqat ek jhalak mein hai hum bhi usi tarah se zamane ke bich hain jis tarah se wo ek sitara falak mein hai gamlon mein phul khub sajae hain aap ne lekin wo baat kab jo chaman ki mahak mein hai hum kab ye kah rahe hain nahin artist aap wo baat to nahin hai jo upar dhanak mein hai hai kam-libasiyon ki badi dhum aaj-kal lekin ye ghaur kijiye chudi khanak mein hai haalat itne bigde hain duniya ke har taraf is waste 'wasiya' ka dil bhi kasak mein hai