be-had gham hain jin mein awwal umr guzar jaane ka gham har khwahish ka dhire dhire dil se utar jaane ka gham har tafsil mein jaane wala zehn sawal ki zad par hai har tashrih ke pichhe hai anjam se dar jaane ka gham jaane kab kis par khul jae shahr-e-fana ka darwaza jaane kab kis ko aa ghere apne mar jaane ka gham ye jo bhid hai be-haalon ki daud hai chand niwalon ki nan-o-namak ka bojh liye jaldi se ghar jaane ka gham dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae kise kinare par le duba par utar jaane ka gham 'azm' udasi ka ye sahra yun qadmon se lipta hai jalne walon ko mil jae jaise thahar jaane ka gham