firozi tasbih ka ghera hath mein jalwa-afgan tha naranji shamon se hujra khair ki shab mein raushan tha rah-rawon ne dasht-e-safar mein har ummid sanwari thi ranj ki rah pe chalne walon ka har khwab muzayyan tha raat hui hai khema to naqe se utara jaega dip kahan rakkha hai jis mein kuchh zaitun ka roghan tha rangon ki ye qab ulat de taswiron par mati lep khoj jo sone ke sikkon ka ek goshe mein bartan tha chin mein sunte hain shayad ab aaina ijad hua warna ek talab hi apni aaraish ka darpan tha matam ki aawaz uthai zanjiron ke halqon ne hath bandhe the gardan se par girya sham-ta-madyan tha