aansu ko gul nab samajh kar nur ujala karte the raat ki raat mein do taron ka chand banaya karte the gahre bhanwar us ki aankhon ka pani bharte rahte the us ka lams chura kar dariya mauj mein aaya karte the sar par chhatnari ruhon ke taj bhadakte rahte the sabz ujale bhar kar sinon ko phailaya karte the chand utha kar le jate the dil ki rupahli kashti mein pichhle pahar ki sardabi se aankh ko taza karte the nil musaffa aankhon se takte the jism ki chandni ko phulwari pe nur ki parde kanch ke tana karte the