aansu meri aankhon se tapak jae to kya ho tufan koi phir aa ke dhamak jae to kya ho bas is liye rahbar pe nahin mujh ko bharosa buddhu hai wo khud rah bhatak jae to kya ho achchhi ye tasawwur ki nahin dast-daraazi angiya kahin is but ki masak jae to kya ho waiz ye gulistan ye bahaaren ye ghataen saghar koi aise mein khanak jae to kya ho ye chah-kani mere liye bani-e-bedad tu khud isi koiyan mein ludhak jae to kya ho ghurbat se meri subh o masa khelne wale tera bhi diwala jo khisak jae to kya ho ye bar-e-amanat tu uthata to hai lekin nazuk hai kamar teri lachak jae to kya ho ruk ruk ke zara hath badha khwan-e-karam par luqma koi jaldi mein atak jae to kya ho main qaid hun par aah-e-rasa qaid nahin hai wo jail ki diwar tadak jae to kya ho ai saqi-e-gulfam zara soch le ye bhi kulhad teri hasti ka chhalak jae to kya ho jallad se ai 'shauq' main ye puchh raha hun tu bhi yunhi phansi pe latak jae to kya ho