ai ham-safir talkhi-e-tarz-e-bayan na chhod tu galiyan diye ja hamein galiyan na chhod waiz buton ke chah-e-zaqan ka bayan na chhod warna kahin na paega pani kuan na chhod pahuncha de makr-o-kaidd ko hadd-e-kamal tak ai dost na-tamam koi dastan na chhod in rahbaran-e-qaum se ya-rab bacha mujhe char lengi sab chaman mera ye bakriyan na chhod phulon se bhar sake na agar daman-e-hawas sehn-e-chaman ki ghas bhi ai baghban na chhod be-waswasa gharibon pe bhi hath saf kar mil jaen to jawar ki bhi rotiyan na chhod diwanon ke to jaib o gireban ka zikr kya gar dhajjiyan bhi hath lagen mehrban na chhod insaniyat mein baqi hai saffak dam abhi ek hath kas ke aur use nim-jaan na chhod zalim usi ne nak mein dam kar diya tera ragde ja khub gardan-e-amn-o-aman na chhod ab zulm mein izafa na kar bani-e-jafa qasr-e-sitam ke aage koi saeban na chhod ranj-o-alam ka zaiqa ek roz tu bhi chakh ye khas jaunpur ki tu muliyan na chhod ai 'shauq' ye jafaen hain kya ye sitam hain kya har imtihan mein baith koi imtihan na chhod