bikhre to phir baham mere ajza nahin hue sarzad agarche moajize kya kya nahin hue jo raste mein khet na sairab kar sake kyun jazb dasht hi mein wo dariya nahin hue insan hai to panw mein laghzish zarur hai jurm-e-shikast-e-jam bhi beja nahin hue hum zindagi ki jang mein haare zarur hain lekin kisi mahaz se paspa nahin hue insan hain ab to muddaton hum dewta rahe shaklen nahin banin jo hayula nahin hue thahro abhi ye khel mukammal nahin hua ji bhar ke hum tumhaara tamasha nahin hue har sar se aasman ki chhat uth nahin gai kab tajarbe mein shahr ye sahra nahin hue 'shaukat' dayar-e-shauq ki raunaq unhi se hai jo apni zat mein kabhi tanha nahin hue