ruKH se burqa jo ulaT de wo to aafat ho jae

rukh se burqa jo ulat de wo to aafat ho jae
qad-kashi ho to numudar qayamat ho jae

daulat-e-husn-e-butan se to na rahiye mahrum
baadshahi na ho par ishq ki daulat ho jae

haal dekhe tere hairan ka jo ai aaina-ru
hai yaqin dida-e-taswir ko riqqat ho jae

nam ghar jaane ka le yar agar tu shab-e-wasl
khana-e-tan se yahan jaan bhi rukhsat ho jae

tair-e-bagh asiran-e-bala nahaq hain
abhi ud jaen tasawwur mein jo himmat ho jae

intizar-e-but-e-be-pir se kya is ka ajab
mar gae par bhi jo wa dida-e-hasrat ho jae

doston ka ye hua haal ki kahti hai khalq
dushmanon ko bhi tere sath na ulfat ho jae

ek nazar dekhe tera husn jo ai aaina-ru
abhi taswir ka wa dida-e-hairat ho jae

taba-e-ali yahi kahti hai qalam se har dam
sher wo likh tu ki aafaq mein shohrat ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close