husn khud jalwa-numai pe hai majbur miyan jaaniye ishq ko ek mujrim-e-mazur miyan qurb gar aur na badh jae to mera zimma khinch kar dekhiye apne ko zara dur miyan mil rahi hai hamein qismat se wo sahba ki jise pi ke hota nahin koi bhi makhmur miyan apni raaton ko jo bedar rakha karte hain un ki bedari ko darkar hai ek sur miyan ishq wo nar ki dekhe se dikhai na pade husn wo nur ki rahta nahin mastur miyan ehtiram-e-gul-o-lala ba-sar-o-chashm magar bachen kanton se ye apna nahin dastur miyan tum jab aate ho to kuchh aisa laga karta hai jaise jannat se utar aai ho ek hur miyan hum ne sau bar basaya use ummidon se dil wo basti hai jo rahti nahin mamur miyan dar par chadhne ki taqat nahin 'arshi' mein abhi sar se pa tak hai shikaston se badan chur miyan