abr ka sar pe saeban bhi to ho sohbat yaad-e-raftagan bhi to ho tute kaise yahan sukut-e-sukhan shahr mein koi ham-zaban bhi to ho chand-tare liye kahan tanken apne hisse mein aasman bhi to ho mez gul-dan titliyan khidki aise manzar mein ek makan bhi to ho aks chehre se chhantna hai agar ek aaina darmiyan bhi to ho sher bunden bane ghazal dhaara fikr-e-'sabir' rawan-dawan bhi to ho