aap auron ko kam dekhiye kaise lagte hain hum dekhiye shan-e-mearaj-e-gham dekhiye mere aise karam dekhiye main jo chhod aaya us bazm ko un ki aankhen bhi nam dekhiye un ke chehre ki tabindagi aur zulfon pe kham dekhiye pahle dekh aaiye har taraf phir hamara sanam dekhiye chal diye chhod kar wo hamein hum par aisa sitam dekhiye chhodye ghair se dil-lagi masala hai aham dekhiye ishq mein haal 'sahir' mera aap sab mohtaram dekhiye