aap tak aa gae hum aane ko kaise samjhaenge zamane ko chhodo ab mujh ko aazmane ko bhul jao mere fasane ko hai ada un ki ruth jaane ki hum sada aaenge manane ko roke rukte nahin kabhi aansu lab taraste hain muskurane ko ghar mein chhai hui hai virani dil nahin chahta sajaane ko wada karke na aae wo lekin hum ne sach samjha hai bahane ko baat kije sada mohabbat se achchha samjho na dil dukhane ko ho karam ki nazar bhi ai 'sahir' kya faqat hum hain aazmane ko